Friday, 22 July 2016

Blogger par post Kaise kre


Hi Dosto, Blogger par Website kese banate hai uyski jaankari mene de diya hai. Blogger ko Custom domain se jurneka tarika bhi bata diya hai. Aab hum janenge ki blogger par achhasa post kese likha jaata hai. To chaliye dosto STEP BY STEP jaante hai ki blogger par naya post kese daalte hai...


STEP 1 :- Sabse pehle aap apni blogger account ko login kare. Uske baad aap jis blog mai naya post dalna chahata hai waha click kare. Jeseki maine HindiTricks.in par click kiya hai.

STEP 2 :- Uske baad aap New Post click kare. Aab aap hindi mai bhi opost likh sekhte hai. Iska message aap dekh sekte hai niche diye gaye picture par.

STEP 3 :- Uske baad aapke paas naya post dalne ka pura form chala aayega.
Waha aapko aapki article ka Title likhana hai. Ye title aapki article ka headline hai.
Fir aapko apna pura article likhna hai. Aap jo chahate ho wo thikse likhiye. jese ki mene blogger se related article likhti hu. Aapbhi waise koibhi article likh sekte hai. Dhyan rahe ek blog ek hi topic ke upar article likhe to behtar hoga. Jeseki mai sirf online issues likhti hu.



STEP 4 :- New Post dalne ki jagah mai bohot saare Gadgets diya gaya hai. Aapko gadgets ka istemal karna chahiye , taki aapki article behtar bane. Konsi Gadget se kiya kaam hota hai mai aapko briefly batati hu. Aap niche diye gaye photo dekhkar numbering ko mila lijiye.  Aachhese samajh jayenge...
Bold- Iske madatse aap kisibhi TEXT ko mota kar sekte hai. Koibhi TEXT mota karke highlight karne ke liye ye gadget kaam aata hai.
Koi bhi TEXT ki colour badalne ke liye ye gadget use karni parti hai.
Koi TEXT ki background ki colour badalne liye is gadget ka use kare.
 Koibhi TEXT ki size barane mai ya ghatane mai is ghdget ka use kare.
Koibhi TEXT ke upar Link dene ke liye is gadget ka use kare.
Video upload karne ke liye is gadget ka use kare.
Photo upload karne ke liye is gadget ka use kare,
Article ko aap kitni hisse apni blogger website ki homepage par dikhana chahate hai is gadget ko select karneke baad waha click kare. Is gadget ko PageBreak kehte hai.
Koibhi TEXT ko point karne ke liye is gadget ka use kare.
Koibhi TEXT ko inverted comma dene ke liye is gadget ko use kare.
Aap konsi bhasan ka translate use karna chahate hai uske liye is gadget ka istamal kare.


STEP 5 :- Uske baad aapko apni post ki label dena hai. Label dene se apki article search engine par jaldise dikhega or aap apni blogpar label ko category ki hisabse bhi use kar sekte hai.

STEP 6 :- Uske baad agar aap chahate hai aapki website par aapki ye article kesi lagti hai to Preview par click kare.
Agar aap chahate hai ki ye article aap baadmai apni website mai dikhayenge to Save button par click karke article ko save karke rakhe.
Or agar aap abhi aapka article post karna chahate hai yaniki aapki website mai dikhana chahate hai to Publish option par click kare.

0 comments:

Post a Comment