Hello Guys, Aab Blogger Blog me Featured Post widget lagana bilkul aasan ho gaye he. Q ki Google ne Blogger ke liye Featured Post ki ek bohot e badiya Gadget banaya he. Pehle hame is Gadget ko lagane me bohot padishani hoti thi.
Featured Post Kiya He ?
Kabhi kabhi aisa v hota he ham aapni Blog me kuchh badiyasa article likhte he. Par us article ko hamari visitor na dekhne ke karan pad nehi paate he. To agar ham us article ko hamari home page me laake rakhe to hamari visitor us article ko jarur padenge. Jisse hamari Blog ki Traffic badegi.
Aise kisi post ko Home page me laake rakhnese us post ko Featured Post kehte he. Halhi me Google ne is Feature ka Official elan kiya he. To kyu na Ham is Feature ka lav uthay . ☺
Feature Post Ka Fayda
Jeseki maine pehle hi baata diya he ki Feture post lagane se ham hamari Blog ki sabse aachha post ko visitor ke saamne laa payenge or isse hamari Blog ki Triffic rank badegi.
Is gadget ki madat se ham hamari Blog ki Badiyasa post ko hamari sidebar ya fir hamari Blog ki man pasand jagah pe dikha payenge. Isse hamari Blog ki design v badegi or bamari Blog ki Traffic v badegi.
Fetured Post Ko Blog Me Kaise Add Kare ?
Featured Post Widget ko blog me add karna bilkul aasan he. Chaliye me aapko STEP BY STEP help karti hu...
STEP 1 :- Sabse pehle aap aapni Blogger account ko LogIn karke uski Layout option me jaaiye.
STEP 2 :- Uske baad aapke saamne bohot saara Add a Gadget ka option aayega. Aap aapni Featured Post Widget ko jahape lagana chahate he wahaki Add a Gadget option pe click kariye.
STEP 3 :- Add a Gadget option pe click kartehi aapke saamne ek PopUp window khul jaayegi. Wahape Bohot saare option he. Aap Wahaki Featured post option pe click kariye.
STEP 4 :- Yahape aapko aapni Fetured post ko set karna he. Aap aapni jis article ko show karna chahate he usko chuniye. Fir jo options diya gaya he usko follow kariye.
Yahape aap Featured post ki Thumbnail or Post Title ko set kar sekte he.
STEP 5 :- Aab Save Button pe click karke save kar dijiye. Save kartehi aapki PopUp window close ho jaayegi. Matlab aapki Blog me aapki Featured post lag gaye he.☺
To ho gaya kaam. Aab aapni Blog ko kholke dekhiye kaisa lag raha he. Koi problem ho to niche comment karke bataiye. Me solve kar dungi.☺
0 comments:
Post a Comment