Saturday, 23 July 2016

Flipkart se Paisa Kaise kamaye 30000

Kya aap internet par money generate karne ke liye sirf Adsense par depend hain? Agar ha to aap online paisa kamane ki bahut si other opportunity miss kar rahe hain. Aaj ke samay ke pro-bloggers Adsense par depend nahi hai. Sabse jyada woAffiliate se kamate hain.
Hamare new blogger aksar apne aapko AdSense par hi depend kar lete hain aur jab adsense approve nahi hota ya kisi wajah se block ho jata hai to wo blogging hi chor dete hain. Aisa wo isliye karte hain kyunki unhe nahi pata ki Adsense ke alava bhi online money generate karne ke bahut se raste hain aur aap waha adsense se bahut jyada kama sakte hain.
flipkart affiliate join
Aaj main aapko bataungaFlipkart Affiliate se kaise aap monthly 25000-30000 kama sakte hain. Yaha sirf aapko ek hi kaam karna hai hard work. Ji haan har jagah aapko apna 100% dena hota hai yaha bhi aapko apna full dedication dena hoga. Kya aap ready hain? To chaliye aapko batata hu kaise Flipkart aapke liye money maker ban sakta hai.


Flipkart Affiliate kya hai?

Flipkart ke bare me introduction dene ki jarurat nahi hai mujhe, aap daily life me yaha se bahut kuch shopping karte honge.
Flipkart apni products ki selling ko increase karne ke liyeAffiliate programme offer karta hai jise website owner and publishers (hum aur aap) koi bhi join kar sakta hai.
Is affiliate programme me aapko Flipkart ki products ko show karna hai and koi bhi us product ko aapke website ya affiliate link se purchase karega to aapko uska commision milega.
Nahi samjhe? Aap sales man ko to jaante honge wo home-to-home visit karke products sell karte hain aur jitni products wo sell karte hain utna unhe commission milta hai. Bus kuch isi tarah aapko flipkart ki products ko sell karna hai aur aapko uska commission milega. Yakeen nahi hota? See Below image:


flipkart affiliate payment
Yaha maine Philips ki ek product sale ki jiski price Rs.1500 thi, uska Rs.185 commission mujhe mila hai. Ye to sirf ek product hai ab sochiye aisi 10-20 item per day sale karoge to kitna hoga? Ab aapke man me sawal uth raha hoga ki kaise is kaam ko start kare.
Yaha main aapko Ste-by-Step batane ja raha hu ki kaise aapAffiliate programme join kar earn kar sakte hain.

Step No.1: Create Blog/Website

Products sale karne ke liye sabse pahle aapko ek platform chahiye aur internet par wo platform hai website.
Ji haa aapko first ek website create karna hogi, main yaha aapko wordpress par site create karna suggest karunga kyunki wordpress par aap wo sab kar sakte hain jo aap chahte hain. Ek badi e-commerce store create kar sakte hain yaha.
Maine already aapko bataya hai ki kaise aap wordpress par Blog create kar sakte hai just 30-minutes me.
Blog/site banane ke baad aapke man me ek question hoga ki main kis topic par post karu? Yaha aap alag-alag subject choose kar sakte hain. Like Mobiles & tech, Internet Tips and Tricks, Coupon & Deals, Products Review etc.
Coupon & Deals Site: Sabse best hai coupon & Deals ki website. Flipkart ki products se related latest offers and Deals aap apni website par show kar sakte hain. Aapne internet par kayi aisi deals & offers ki site dekhi hongi jaise ki couponraja, coupondunia etc.
Maine Coupon & Deals ki Sabsebest wordpress theme aapko batayi thi aap wo theme apni wordpress site me install kar sakte hain.
Mobile & Technology Site: Agar aap Mobiles & Technology ki website banate hain to aap Flipkart ki Mobiles, computer and gadget ki products apne blog/site me show kar sakte hain. Aap mobiles ka review bhi kar sakte hain.
Review Site: Aap Review website banakar Flipkart ki alag alag products purchase karke uska Review Post kar sakte hain. Agar viewers ko aapka review pasand aaya to wo bhi us product ko purchase karna pasand karenge.
Online Store: WordPress par aap khud ki online store create kar sakte hain. Uske baad usme flipkart ki products add karke apni affiliate link se sale kar sakte hain. Maine aapko shopifyke bare me bataya tha ki kaise aap bina kisi knowledge ke online store bana sakte hain.
[junkie-alert style=”grey”] Humne Flipkart affiliate products ko sale karne ke liye platform to bana liya Ab hamara next step hai Affiliate ke liye apply karna. [/junkie-alert]
Flipkart affiliate ke liye apply karne ke liye sabse pahleFlipkart affiliate par jaye and Register kare. Apni email id open karke registration verify link par click karke account verify kare.
flipkart-affiliate-regiater
Registration verify karne ke baad apne affiliate Dashboard par login kare.
Yaha aapko sabse pahle My Account par click karna hai. Yaha kuch jaruri settings hame update karni hongi.
flipkart affiliate account
  • Account Details Me apna Name, Address, contact add kare.
  • Website Details: Aap jis website par affiliate ads and link show karna chahte hain uski details add kare.
  • Upload Files option me apne PAN Card and Address proof ki copy upload kare. Mobile se photo copy snap karke add kar sakte hain.
[junkie-alert style=”green”] Ab hum Affiliate link and ads apni site par add karenge. Iske liye Affiliate Tools par click kare. Yaha aap 4 type ke tools show karenge. [/junkie-alert]
  • Bookmarklet widget: Mera sabse favourite tool. Is tool se aap flipkart ki kisi bhi product ka single click me apni affiliate link bana sakte hain. Aapko just Blue colour ki Flipkart Affiliate Bookmarklet button ko mouse se drag karke apne browser ke bookmark bar me drop karna hai.
flipkart bookmarklet
Ab jab bhi aap koi product link open karo to is bookmarklet par click kare, click karte hi aapki affiliate link generate ho jayegi aur aap use apni website me add kar sakte hain.
  • Promotional Widget me flipkart ki latest deals and offers ke banner ads aap apne website me add kar sakte hain. Aapko just Generate code par click karna hai and code copy karke apni website me add karna hai.
flipkart affilite tool
Aap is tarah ki ads ko apni website ki sidebar me add kar sakte hain. Ya fir apni post ke beech me show kar sakte hain.
  • Promotional Banners me bhi same aap new offers and deals ki ads banners code generate karke apni website me add kar sakte hain.
  • Products links & Bannerme aap kisi bhi category ki product ko search karke uski affiliate link or ads generate kar sakte hain aur apni website par publish kar sakte hain.
flipkart affiliate tool
[junkie-alert style=”grey”] To is tarah aap Flipkart ki alag-alag products ki link and ads create kar sakte hain and website me show kar sakte hain. Ab jo bhi aapki affiliate link and banner par click karke product purchase karega to uska commission aapke account me add hoga[/junkie-alert]

Coupon & Deals Website me Affiliate link/ads kaise add kare?

Agar aapne coupon and deals ki website create ki hai to aap just flipkart hi nahi, Amazon and other sabhi affiliate provider ki offers and deals add kar sakte hain.
WordPress par coupon and Deals theme se aap ek professional site bana sakte hain like other site.
coupon XL
Jaisa ki upar image me dekh sakte hain, aap aisi website wordpress par bana sakte hain, iske liye aapko just hosting, Domain and Theme purchase karna hai aur aapki Coupon & Deals site ready.
Website create hone ke baad aap flipkart products ki Deals and discounts offer publish kar sakte hain. Aap other shopping portal ki deals bhi publish kar sakte hain.
[junkie-alert style=”red”] To fir der kis baat ki start kare apni website and affiliate ke jariye shuru kare earn karna. [/junkie-alert]
Aap Bluehost hosting par easily wordpress site bana sakte hain. Bluehost wordpress hosting ki sabse best recommended company hai. Maine iske bare post kiya hai. Bluehost par wordpress site kaise banaye? Click Bluehost hostingSpecial offer just $3.95/month shared hosting plan
I hope aapne is post ko enjoy kiya hoga, main yaha ek hi baat kahna chahunga start me aapko bahut kuch seekhna hoga and smartly hard work karna hoga, and of course patience rakhna hoga. All the best!

0 comments:

Post a Comment