Hi, Website banane ke baad humko jis chizo pe dhyan dena chahiye wo hai Promotion. Blog ki promotion karate samay ye bhi dhyan rakhna chahiye ki aapki visitor aapki articles ko kitna pasand karte hai.
Aapki visitor aapki posts ko like karte hai ki nehi ye janne ki do upay hai.
1. Aapki post me aapki visitor ki comment se paata chal sekte he.
2. Social +1 Button se paata chal sekte he. Agar aapki visitor aapki posts ko like karte he to wo jarur aapki Blog me ek +1 denge. Jisse aap count kar sekte he ki aapki post ki kitne logoki pasand aaya he.
Visitor ki pasand check karne ke liye sabse badiya option he Facebook Like Button lagana. Facebook Like Button Lagane se aap aapki har ek visitor ki Man Ki Baat jaan paayenge. Q ki aap jaante hi honge ki aab duniya aisa koi banda nehi hai jo net chalata hai par unke paas Facebook account na ho.
Facebook Like Button Kiya He
Facebook Like Button Facebook Ka ek bohot e khaas feature he. Jiske duwara log bina comment karke bhi aapki post ki saabasi de sekte he. Log is Like button se jaan paate he ki unki post ko kitne logone pasand kiya he. Duniya me aise bohot saare baande he jo sirf is Like Button ke liye jite he.Ye Like button pehle sirf Facebook me Enabled the. Likin aab isko jaha chahe hum laga sekte he.
Facebook Like Button Ko Post Title Ke Niche Q Lagay
Facebook Like Button ko Post Title ke niche lagane ka bohot saare fayda he. Jo koi bhi aapki post padenge wo jarur sabse pehle aapki post ki Tittle dekhe honge. Or agar post Title ke niche Facebook Like Button ko lagay jaay to jo koi bhi aapki post padenge wo jarur us Like button ko dekh paayenge. Agar aapki visitor ko aaapki post ko padke pasand aaya ho to wo jarur aapki mehnet ki fal denge. Matlab aapko ek Like Denge. Q Facebook Like Ekdam Free he.
Is tarah se jab aapki post me bohot saare likes mil jaayenge tab jab koi naya visitor aayenge to wo aapki Likes dekhke hi inspire ho jaayenge. Or istarah se aapki post popular ban jaayegi. Matlab aapki site ki Traffic bohot jald hi aachhe position pe chale aayenge.
Post Title Ke NIche Facebook Like Button Ko Kaise Lagay
To chaliye dosto hamesha ki tarah me aapko STEP BY STEP batati hu kaise Facebook Like Button ko Blogger Blog Ki post Title ke niche lagay...
STEP 1 :- Sabse pehle aap aapni Blogger Account ko LogIn karke Jis Blog ki post Title ke niche Facebook Like Button ko lagana chahate he us Blog ki Template option pe jaay.
STEP 2 :- Template option pe jaate hi aap waha dekh sekte he ki waha ek Edit HTML ki option he. Wahape click kare.
STEP 3 :- Aab aapke paas jo badiyasa HTML script he waha Ctrl + F se search kare
<data:post.body/>
STEP 4 :- Aab pehle niche diye gaaye code ko copy kariye fir is <data:post.body/> ke thik aage paste kar dijiye. Ek space jarur dijiyega.
<p><iframe allowTransparency='true' expr:src='"http://www.facebook.com/plugins/like.php?href=" + data:post.url + "&layout=button_count&show_faces=false&width=100& action=like&font=arial&colorscheme=light"' frameborder='0' scrolling='no' style='border:none; overflow:hidden; width:100px; height:20px;'/></p>
STEP 5 :- Aab Save Template pe click karke Template ko save kar dijiye. Bas aab aap aapni blog ko kholke kisibhi post me jaaiye aap har ek post title ke niche facebook like button ko dekh paayenge. ☺
To kaisi lagi meri ye Hindi Trick comment karke jarur bataiyega. Koi problem ho raha ho to wo bhi bataiye. Me aapki problem solve kar dungi. ☺ ♥
perfect post i have done,,,
ReplyDelete